10 funny santa banta jokes - santabanta in hindi Jokes
1. Banata : Wife ko begam kyun kehte hain. Santa : Kyun ki shaadi ke baad sare gum toh husband Ke hisse mein aate hain, aur biwi be-gam ho jati hai.. 2. Banta : Aao ji chess khelein, Santa : Tu chal main sports shoes pehen kar aaya. 3. Santa : Kal aapne apne bache ko bahut pita Aakhir aisi kya galti ho gayi thi usse.. Banta : Dar asal do din baad uss badmaash ka Result nikalne waala hai aur mai aaj hi ek Mahine ke tour par jaa raha hun. 4. Banta : Yeh chaaku kyon ubaal rahe ho? Santa : Suicide karne ke liye. Banta : To phir ubalne ki kya zarurat hai? Santa : Kahin infection na ho jaaye. 5. Santa : “Achha hua, main maharashtra me Paida na hua” Banta : “Woh kyun?” Santa : “Kyun ki mujhe toh marathi ka ek akshar Bhi nahi aata” 6. Santa : Meri patni mera itna khyaal rakhti Hai ki kal mehmaano ke vidaa hone ke baad jab Maine usse kaha ki garam paani ka jaldi praband Karo toh usi waqt paani garam kar diya. ...