1.
Banata : Wife ko begam kyun kehte hain.
Santa : Kyun ki shaadi ke baad sare gum toh husband Ke hisse mein aate hain, aur biwi be-gam ho jati hai..
2.
Banta : Aao ji chess khelein,
Santa : Tu chal main sports shoes pehen kar aaya.
3.
Santa : Kal aapne apne bache ko bahut pita Aakhir aisi kya galti ho gayi thi usse..
Banta : Dar asal do din baad uss badmaash ka Result nikalne waala hai aur mai aaj hi ek Mahine ke tour par jaa raha hun.
4.
Banta : Yeh chaaku kyon ubaal rahe ho?
Santa : Suicide karne ke liye.
Banta : To phir ubalne ki kya zarurat hai?
Santa : Kahin infection na ho jaaye.
5.
Santa : “Achha hua, main maharashtra me Paida na hua”
Banta : “Woh kyun?”
Santa : “Kyun ki mujhe toh marathi ka ek akshar Bhi nahi aata”
6.
Santa : Meri patni mera itna khyaal rakhti Hai ki kal mehmaano ke vidaa hone ke baad jab Maine usse kaha ki garam paani ka jaldi praband Karo toh usi waqt paani garam kar diya.
Banta : Waah,, lekin us samay bechaari ko paani garam karne ka kasth kyun diya?
Santa : Kyun ki main thande paani se bartan nahi dho sakta tha..
7.
Santa : Yaar teri wife ki maut ka bada afsos hua, waise hua kya tha?
Banta : Goli lagi thi mathe mein.
Santa : Bhagwan ka shukar kar ki aankh bach gayi.
8.
Santa ne banta se kaha,”sabse bada challenge kya hai?”
Banta : Answer sheet ko khaali chhod do aur last me likh dena, Paas karke dikha.
9.
Santa seedi par chade hue ghar ki chhat par rang laga raha tha. Banta vaha aaya.
Banta : “Santa, tumne brush majbooti se pakda hua hai na?”
Santa : “Haan! Kyun?”
Banta : “Main thodi der ke liye seedi le jaa raha hun”
10.
Santa : Oh yaar main badi mushkil mein hoon. Meri biwi mujhse ek pappi ka ek rupiya leti hai.
Banta : Oh yaar tu lucky hai, auron se toh woh 5 rupiya leti hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें