bhari basant mein jaise phool bikhar pade,
dukh woh nahin ki unhone hume alvida kaha,
dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade
Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya
Armaano ko alfazon me pirona hame nahi aata,
Palkon ko ashkon se bhigona hame nahi aata.
Dil ki baat kaise kahe aapse,
Hame to izhare mohabbat karna hi nahi aata.
Jakham aisa diya ki koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hai unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
Ishq na karo doston
Kissi ke kaam na yeh aata hai
Kari na isne kissi se vafaa,
sirf gum hi gum yeh dilate hai!
Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
isi ka naam to pyaar hota hai
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai
jise chaho wahi apne se dur hota hai
Dil tutkar bikharta hai is kadar
jaise koi kanch ka khilona chur-chur hota hai
Uske saath aaj saari mehfil hai,
Ab zamana uske saath hai.
Aaj main tanha hu, aaj main akela hu,
Bas ruswaiyyan mere saath hai
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
dil me rehne walo ki baat nahi karte,
hamari to ruh me bus gaye hain aap,
tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
Har gali me, har kooche main,
Uski taarife ho rahi hai,
Yeh aalam, yeh waqt kya,
Aaj saari khudai uske saath hai
Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge
Hum ji rahe hai, sirf tumhara didar karke
saans bhi le rahe hai tumhe yaad karke
khuda ke paas to ek din hum bhi jayege
per jayenge tera intZaar karke….!
Anjane me hum apna dil gawa baithe is pyar me kaisa
dhoka kar baithe
unse kya gila kare bhool hamari hi hai jo bina dil
walon se dil laga baithe
Dil todna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें