1000 Jokes in hindi
1. Patni:-sharab peene ke baad kya tumhe mera naam bhi yaad nahin rehta? Pati:-pee lene ke baad toh main har gam bhool jata hoon,meri jaan. 2. Beta : papa, main itna bada kab hounga ki main mummy se bina puchhe Bahar ja sakun? Baap : beta abhi itna bada toh mein bhi nahi hua. 3. Patni: aap bahut mote ho gaye ho. Pati: tum bhi toh kitni moti ho gayi ho. Patni: main toh maa banne wali hoon Pati: main bhi toh baap banne wala hoon 4. Sawaal: biwi maike jaa kar shohar ko har roz phone kyon karti hai.... Jawab: taa ki shohar ko yaad rahe ki musibat abhi tali nahi, phir aane wali hai. 5. Dulha Dulhan se : Tumhara koi Boy Friend tha kya? Dulhan chup rahi Dulha: main iss khamoshi ko kya samjhun? Dulhan: kaminey ruk jaa ginne toh de.